Thursday, June 14, 2007

Dil par mere, harpal jiskaa nasha chhaya hain,
vo shayad tumhaara hi saaya hain,
mann ko mere vo itnaa bhaaya hain
isliye hi shaayad use apna Dost banaaya hain.

Suraj na sahi, Chaand to hain saath mere
Dil ke bagiche main Chaandni ka Aashiyaana hain,
Ab to mohabbat ho gayi hain is hawa se bhi mujhe..
use teri galiyon main jo aana jaana hain..

Rahein kahin bhi chhahe HUM TUM
Bich hamaare ek rishta pyaara, hamesha rahega..
Dil ke gulshan main ,
saja ye dostaana hamaara, hamesha rahega
Jaagi Jiss se mere dil main mohabbat,
vo ehsaas tum hi to ho.
Jiss se jaan saka deewangi ka matlab,
vo aashiqi tum hi to ho...

Raushni jo mere dil main failati,
vo shama tum hi to ho....
Jinda rehne ka ehsaas jagaati,
dil main basi vo dhadkan tum hi to ho....

kya haqueeqat, kya afsaane..
ab to har ghadi,
tum yaadein ban mujhe tadhpaati hon....
Dil ka dil se rishta hai, tabhi shayad..
haathon ki lakiro main bhi tum nazar aati ho....
Raat hogi to chaand Duhai Dega...
Khwaabon main aapko voh chehra dikhai dega,,,
Ye mohabbat hai zara sochke karna E dost..
Ek Aansu bhi gira..to puri duniya ko sunaiii dega.....
ab to unke saath , main sirf khwaabon main hi hota hun.
par kismat ko ye bhi manjoor na tha...
Aankhon se neende kho gayi kahin...
ab to saari raat sirf ashhkon main hi duboota hun

Wednesday, June 13, 2007

Bikhre Ashko ke moti hum piro na sake,
Uski yaad main hum saari raat so na sake..
Beh na jaaye aansu me tasvir uski,
Bas yehi soch kar,
hum ro na sake